meri palkon pe aansu jagta hai
mirī palkoñ pe aañsū jāgtā hai
shab-e-tīra meñ jugnū jāgtā hai
guzartī hai kuchh aise zindagānī
ki jaise shab ko sādhū jāgtā hai
maiñ daryūza-gar-e-duniyā nahīñ huuñ
mirī himmat kā baazū jāgtā hai
tirī gul-rang sī yādoñ ke baa.is
mirā ehsās-e-ḳhushbū jāgtā hai
mirī ḳhvābīda āñkhoñ meñ abhī tak
tirī āñkhoñ kā jaadū jāgtā hai
shab-e-mahtāb hai aur saath un kā
ajab jaadū lab-e-jū jāgtā hai
jo hai soyā huā qismat kā sūraj
to phir 'sajjād' kyoñ tū jāgtā hai
meri palkon pe aansu jagta hai
shab-e-tira mein jugnu jagta hai
guzarti hai kuchh aise zindagani
ki jaise shab ko sadhu jagta hai
main daryuza-gar-e-duniya nahin hun
meri himmat ka bazu jagta hai
teri gul-rang si yaadon ke bais
mera ehsas-e-KHushbu jagta hai
meri KHwabida aankhon mein abhi tak
teri aankhon ka jadu jagta hai
shab-e-mahtab hai aur sath un ka
ajab jadu lab-e-ju jagta hai
jo hai soya hua qismat ka suraj
to phir 'sajjad' kyon tu jagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.