Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan

Kaleem Aajiz

meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan

Kaleem Aajiz

MORE BYKaleem Aajiz

    mirī shā.erī meñ na raqs-e-jām na mai rañg-fishāniyāñ

    vahī dukh-bharoñ hikāyateñ vahī dil-jaloñ kahāniyāñ

    ye jo āh-o-nāla-o-dard haiñ kisī bevafā nishāniyāñ

    yahī mere din ke rafīq haiñ yahī merī raat rāniyāñ

    ye mirī zabāñ pe ġhazal nahīñ maiñ sunā rahā huuñ kahāniyāñ

    ki kisī ke ahd-e-shabāb par miTīñ kaisī kaisī javāniyāñ

    kabhī āñsuoñ ko sukhā ga.iiñ mire soz-e-dil harārateñ

    kabhī dil naav Dubo ga.iiñ mire āñsuoñ ravāniyāñ

    abhī us ko is ḳhabar kahāñ ki qadam kahāñ hai nazar kahāñ

    abhī maslahat guzar kahāñ ki na.ī na.ī haiñ javāniyāñ

    ye bayān-e-hāl ye guftugū hai mirā nichoḌā huā lahū

    abhī sun lo mujh se ki phir kabhū na sunoge aisī kahāniyāñ

    meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan

    wahi dukh-bharon ki hikayaten wahi dil-jalon ki kahaniyan

    ye jo aah-o-nala-o-dard hain kisi bewafa ki nishaniyan

    yahi mere din ke rafiq hain yahi meri raat ki raniyan

    ye meri zaban pe ghazal nahin main suna raha hun kahaniyan

    ki kisi ke ahd-e-shabab par miTin kaisi kaisi jawaniyan

    kabhi aansuon ko sukha gain mere soz-e-dil ki hararaten

    kabhi dil ki naw Dubo gain mere aansuon ki rawaniyan

    abhi us ko is ki KHabar kahan ki qadam kahan hai nazar kahan

    abhi maslahat ka guzar kahan ki nai nai hain jawaniyan

    ye bayan-e-haal ye guftugu hai mera nichoDa hua lahu

    abhi sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaniyan

    Source :
    • Book : vo jo shairi ka sabab hua (Pg. 342)
    • Author : Kaliim aajiz
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now