meri shakl-o-surat se mat jaan mujhko
mirī shakl-o-sūrat se mat jaan mujh ko
mire sher se sirf pahchān mujh ko
kisī aur se 'ishq karne lagā hai
to kis haq se kahtā hai tū jaan mujh ko
kabhī mujh pe bhī nazm koī likhī hai
likhī to batā us kā 'unvān mujh ko
tujhe phir kisī se mohabbat huī hai
tirī bāteñ kartī haiñ hairān mujh ko
na kar apne mahbūb kā zikr mujh se
na kar is tarah se pareshān mujh ko
tirī mīThī bāteñ zarā sī tavajjoh
nahīñ chāhiye terā ehsān mujh ko
tujhe maiñ ne us kī jagah rakh diyā hai
mu’āfī nahīñ degā bhagvān mujh ko
faqat apnī taklīf dikhtī hai tujh ko
kabhī tū samajhtā hai insān mujh ko
mohabbat meñ ab tak marī to nahīñ huuñ
magar ab tū zinda bhī mat maan mujh ko
meri shakl-o-surat se mat jaan mujh ko
mere sher se sirf pahchan mujh ko
kisi aur se 'ishq karne laga hai
to kis haq se kahta hai tu jaan mujh ko
kabhi mujh pe bhi nazm koi likhi hai
likhi to bata us ka 'unwan mujh ko
tujhe phir kisi se mohabbat hui hai
teri baaten karti hain hairan mujh ko
na kar apne mahbub ka zikr mujh se
na kar is tarah se pareshan mujh ko
teri miThi baaten zara si tawajjoh
nahin chahiye tera ehsan mujh ko
tujhe main ne us ki jagah rakh diya hai
mu’afi nahin dega bhagwan mujh ko
faqat apni taklif dikhti hai tujh ko
kabhi tu samajhta hai insan mujh ko
mohabbat mein ab tak mari to nahin hun
magar ab tu zinda bhi mat man mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.