meri shikast pe chupke se muskuraata hai
mirī shikast pe chupke se muskurātā hai
baḌe ḳhulūs se vo dostī nibhātā hai
usī ke naam se dahlīz hai mirī raushan
usī kā naam to ḳhushbū sī le ke aatā hai
hai merā dost magar kuchh pata nahīñ chaltā
har ek se vo mire aib kyoñ ginātā hai
mire vajūd meñ ghultī hai jaise ra.anā.ī
tirā ḳhayāl mire hausle baḌhātā hai
meri shikast pe chupke se muskuraata hai
baDe KHulus se wo dosti nibhata hai
usi ke nam se dahliz hai meri raushan
usi ka nam to KHushbu si le ke aata hai
hai mera dost magar kuchh pata nahin chalta
har ek se wo mere aib kyon ginata hai
mere wajud mein ghulti hai jaise ranai
tera KHayal mere hausle baDhata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.