meri surat mein mera yar hai allah allah
mirī sūrat meñ mirā yaar hai allāh allāh
mire dil meñ mirā dildār hai allāh allāh
kyā hī tasvīr banī hai ye ahā hā hā hā
is meñ aapī vo numūdār hai allāh allāh
shakl-e-ādam ke sivā aur na bhāyā naqsha
saare aalam meñ ye iz.hār hai allāh allāh
merā jism aur mirī jaañ hai vahī jaañ bilkul
maiñ kahūñ kyā ki maiñ huuñ yaar hai allāh allāh
mastī-e-har-do-jahāñ hai dil-e-ādam se ayaañ
yahī behosh to hoshyār hai allāh allāh
jis ko nisbat ho payambar kī vahī ho āgāh
merī bātoñ meñ jo asrār hai allāh allāh
ḳhāka murshid kā havā meñ to huā yaar ayaañ
ye ajab faiz kā darbār hai allāh allāh
qissa qarnoñ meñ na tai hotā vo dam-bhar meñ huā
fazl murshid kā ye iz.hār hai allāh allāh
shah-e-'mardāñ' na koī aur na ḳhādim na safī
shakl-e-ahmad kā ye iz.hār hai allāh allāh
meri surat mein mera yar hai allah allah
mere dil mein mera dildar hai allah allah
kya hi taswir bani hai ye aha ha ha ha
is mein aapi wo numudar hai allah allah
shakl-e-adam ke siwa aur na bhaya naqsha
sare aalam mein ye izhaar hai allah allah
mera jism aur meri jaan hai wahi jaan bilkul
main kahun kya ki main hun yar hai allah allah
masti-e-har-do-jahan hai dil-e-adam se ayan
yahi behosh to hoshyar hai allah allah
jis ko nisbat ho payambar ki wahi ho aagah
meri baaton mein jo asrar hai allah allah
KHaka murshid ka hawa mein to hua yar ayan
ye ajab faiz ka darbar hai allah allah
qissa qarnon mein na tai hota wo dam-bhar mein hua
fazl murshid ka ye izhaar hai allah allah
shah-e-'mardan' na koi aur na KHadim na safi
shakl-e-ahmad ka ye izhaar hai allah allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.