meri taklif aasabi kahan hai
mirī taklīf a.asābī kahāñ hai
ye bedārī hai be-ḳhvābī kahāñ hai
mujhe āzād karnā hai kisī ko
mire zindān kī chābī kahāñ hai
ye ham jo sāhiloñ par chal rahe haiñ
ḳhabar rakhte haiñ ġharqābī kahāñ hai
hare haiñ peḌ nahroñ ke kināre
mirī palkoñ kī shādābī kahāñ hai
barā.e sair aa.e baaġh meñ ham
shajar-kārī kī betābī kahāñ hai
meri taklif aasabi kahan hai
ye bedari hai be-KHwabi kahan hai
mujhe aazad karna hai kisi ko
mere zindan ki chabi kahan hai
ye hum jo sahilon par chal rahe hain
KHabar rakhte hain gharqabi kahan hai
hare hain peD nahron ke kinare
meri palkon ki shadabi kahan hai
barae sair aae bagh mein hum
shajar-kari ki betabi kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.