meri talab ka ye hasil ye muddaa Thahra
mirī talab kā ye hāsil ye mudda.ā Thahrā
tire karam kā sahārā hī aasrā Thahrā
koī havā-e-zamāna use miTā na sakī
tumhārī yaad kā har naqsh der-pā Thahrā
matā.a-e-kaun-o-makāñ se azīz-tar mujh ko
jo iltifāt mire dard kī davā Thahrā
kisī ke naqd-o-nazar kā to kuchh nahīñ lekin
tirī nigāh meñ kyā jāniye maiñ kyā Thahrā
ab is ke baad jo honā hai soch lo ḳhud hī
milā huā hai jo tūfāñ se nāḳhudā Thahrā
tumhārī yaad se bach kar guzar gayā jo kabhī
vo ek lamha bhī sadiyoñ kā fāsla Thahrā
shu.ūr-e-rāh-ravī maiñ ne jis ko baḳhshā thā
ḳhushā-nasīb vahī merā rahnumā Thahrā
haqīr zarra zarā vaqt jis ke saath huā
chamak uThā to vahī vaqt kā ḳhudā Thahrā
tire hī naam kī nisbat mirā ta.āruf hai
maiñ kuchh hī kyoñ na rahā terā naqsh-e-pā Thahrā
umīd-o-bīm kā vo ma.arka bhī kyā thā 'qamar'
bas ik nazar mirī qismat kā faisla Thahrā
meri talab ka ye hasil ye muddaa Thahra
tere karam ka sahaara hi aasra Thahra
koi hawa-e-zamana use miTa na saki
tumhaari yaad ka har naqsh der-pa Thahra
mataa-e-kaun-o-makan se aziz-tar mujh ko
jo iltifat mere dard ki dawa Thahra
kisi ke naqd-o-nazar ka to kuchh nahin lekin
teri nigah mein kya jaaniye main kya Thahra
ab is ke baad jo hona hai soch lo KHud hi
mila hua hai jo tufan se naKHuda Thahra
tumhaari yaad se bach kar guzar gaya jo kabhi
wo ek lamha bhi sadiyon ka fasla Thahra
shuur-e-rah-rawi main ne jis ko baKHsha tha
KHusha-nasib wahi mera rahnuma Thahra
haqir zarra zara waqt jis ke sath hua
chamak uTha to wahi waqt ka KHuda Thahra
tere hi nam ki nisbat mera taaruf hai
main kuchh hi kyon na raha tera naqsh-e-pa Thahra
umid-o-bim ka wo marka bhi kya tha 'qamar'
bas ek nazar meri qismat ka faisla Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.