meri taraf se nigahen to wo haTa lega
mirī taraf se nigāheñ to vo haTā legā
vo apne zehn se kaise mujhe nikālegā
laboñ pe phuul mohabbat ke jo sajā legā
use harīf bhī baḌh kar gale lagā legā
gunahgār na ban us ko bad-duā de kar
ġhurūr us kā use ḳhud hī maar Dālegā
har ek aag ko vo raushnī samajhtā hai
maiñ chuuk jā.ūñ to vo uñgliyāñ jalā legā
bahut sambhāl ke rakkhā hai āñsūo tum ko
mirī tarah tumheñ āñkhoñ meñ kaun pālegā
agar junūn kī had se guzar gayā dariyā
to apne saath vo 'sāhil' ko bhī bahā legā
meri taraf se nigahen to wo haTa lega
wo apne zehn se kaise mujhe nikalega
labon pe phul mohabbat ke jo saja lega
use harif bhi baDh kar gale laga lega
gunahgar na ban us ko bad-dua de kar
ghurur us ka use KHud hi mar Dalega
har ek aag ko wo raushni samajhta hai
main chuk jaun to wo ungliyan jala lega
bahut sambhaal ke rakkha hai aansuo tum ko
meri tarah tumhein aankhon mein kaun palega
agar junun ki had se guzar gaya dariya
to apne sath wo 'sahil' ko bhi baha lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.