meri wafa ka na socha tha ye sila dega
mirī vafā kā na sochā thā ye sila degā
samajh ke harf-e-ġhalat vo mujhe miTā degā
bhalā vo degā bhī mujh ko to aur kyā degā
ġhamoñ kī dhuup meñ jiine kī bas sazā degā
ajiib zid hai ki ulTā hī sochtā hai vo
maiñ sach kahūñgā use jhuuT vo banā degā
sitam kā us ke kuchh andāz hī nirālā hai
jo maut chāhūñgā jiine kī vo duā degā
ye sochtā huuñ use aa.ina dikhā hī duuñ
bahut karegā bharī bazm se uThā degā
maiñ chhoḌ duuñ use 'betāb' kis tarah āḳhir
qadam qadam pe mirā ghar mujhe sadā degā
meri wafa ka na socha tha ye sila dega
samajh ke harf-e-ghalat wo mujhe miTa dega
bhala wo dega bhi mujh ko to aur kya dega
ghamon ki dhup mein jine ki bas saza dega
ajib zid hai ki ulTa hi sochta hai wo
main sach kahunga use jhuT wo bana dega
sitam ka us ke kuchh andaz hi nirala hai
jo maut chahunga jine ki wo dua dega
ye sochta hun use aaina dikha hi dun
bahut karega bhari bazm se uTha dega
main chhoD dun use 'betab' kis tarah aaKHir
qadam qadam pe mera ghar mujhe sada dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.