meri wafaon ka nashsha utarne wala
mirī vafāoñ kā nashsha utārne vaalā
kahāñ gayā mujhe hañs hañs ke hārne vaalā
hamārī jaan ga.ī jaa.e dekhnā ye hai
kahīñ nazar meñ na aa jaa.e mārne vaalā
bas ek pyaar kī baazī hai be-ġharaz baazī
na koī jītne vaalā na koī hārne vaalā
bhare makāñ kā bhī apnā nasha hai kyā jaane
sharāb-ḳhāne meñ rāteñ guzārne vaalā
maiñ us kā din bhī zamāne meñ baañT kar rakh duuñ
vo merī rātoñ ko chhup kar guzārne vaalā
'vasīm' ham bhī bikharne kā hausla karte
hameñ bhī hotā jo koī sañvārne vaalā
meri wafaon ka nashsha utarne wala
kahan gaya mujhe hans hans ke haarne wala
hamari jaan gai jae dekhna ye hai
kahin nazar mein na aa jae marne wala
bas ek pyar ki bazi hai be-gharaz bazi
na koi jitne wala na koi haarne wala
bhare makan ka bhi apna nasha hai kya jaane
sharab-KHane mein raaten guzarne wala
main us ka din bhi zamane mein banT kar rakh dun
wo meri raaton ko chhup kar guzarne wala
'wasim' hum bhi bikharne ka hausla karte
hamein bhi hota jo koi sanwarne wala
- Book : Mera Kiya (Pg. 97)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.