meri ye zindagi had se ziyaada kya hogi
mirī ye zindagī had se ziyāda kyā hogī
bahut ziyāda bhī hogī to bas fanā hogī
kisī kam-‘aql kā kalima bhī hogā ik bakvās
kisī zahīn kī gaalī bhī falsafa hogī
bhugat rahā huuñ sazā maazī kī maiñ ban kar ḳhaar
aur aaj ḳhaar huuñ kal is kī bhī sazā hogī
tumhāre baa'd mujhe maut se bhī kyā hogā
tumhāre baa'd mirī zindagī bhī kyā hogī
mire jahān meñ aane kā kyā sabab hai 'shams'
mire jahān se jaane kī vaj.h kyā hogī
meri ye zindagi had se ziyaada kya hogi
bahut ziyaada bhi hogi to bas fana hogi
kisi kam-‘aql ka kalima bhi hoga ek bakwas
kisi zahin ki gali bhi falsafa hogi
bhugat raha hun saza mazi ki main ban kar KHar
aur aaj KHar hun kal is ki bhi saza hogi
tumhaare ba'd mujhe maut se bhi kya hoga
tumhaare ba'd meri zindagi bhi kya hogi
mere jahan mein aane ka kya sabab hai 'shams'
mere jahan se jaane ki wajh kya hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.