meri zamin tere aasman se achchhi hai
mirī zamīn tire āsmāñ se achchhī hai
ye karbalā na bane to jināñ se achchhī hai
agarche gard-e-itā.at se be-zuhūr huī
mirī jabīn tire āstāñ se achchhī hai
abhī to ye bhī tire shahr meñ nahīñ raa.ij
nahīñ hamārī harīsoñ kī haañ se achchhī hai
jahāñ se ham ne banā.ī hai ik na.ī shah-rāh
agar chaloge kahoge yahāñ se achchhī hai
hamāre sar pe kabhī maut hai kabhī dushman
magar ye baat talāsh-e-amāñ se achchhī hai
meri zamin tere aasman se achchhi hai
ye karbala na bane to jinan se achchhi hai
agarche gard-e-itaat se be-zuhur hui
meri jabin tere aastan se achchhi hai
abhi to ye bhi tere shahr mein nahin raij
nahin hamari harison ki han se achchhi hai
jahan se hum ne banai hai ek nai shah-rah
agar chaloge kahoge yahan se achchhi hai
hamare sar pe kabhi maut hai kabhi dushman
magar ye baat talash-e-aman se achchhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.