meri zamin tere aflak se ziyaada hai
mirī zamīñ tire aflāk se ziyāda hai
mujhe ye ḳhaak har ik ḳhaak se ziyāda hai
nigār-ḳhāna-e-duniyā mujhe darīda libās
tirī atā-shuda poshāk se ziyāda hai
shikasta jism alag chiiz hai magar tirā zulm
kahāñ mire dil-e-be-bāk se ziyāda hai
kahānī-kār tujhe kyā ḳhabar ye shahr dukhī
tire fasāna-e-ġham-nāk se ziyāda hai
maiñ bujh rahā huuñ magar merī raushnī 'shahzād'
charāġh-e-ḳhema-e-idrāk se ziyāda hai
meri zamin tere aflak se ziyaada hai
mujhe ye KHak har ek KHak se ziyaada hai
nigar-KHana-e-duniya mujhe darida libas
teri ata-shuda poshak se ziyaada hai
shikasta jism alag chiz hai magar tera zulm
kahan mere dil-e-be-bak se ziyaada hai
kahani-kar tujhe kya KHabar ye shahr dukhi
tere fasana-e-gham-nak se ziyaada hai
main bujh raha hun magar meri raushni 'shahzad'
charagh-e-KHema-e-idrak se ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.