meri zindagi ki kitab ka hai har ek waraq yun saja hua
mirī zindagī kī kitāb kā hai har ik varaq yuuñ sajā huā
kahīñ āñsuoñ se likhā huā kahīñ shoḳhiyoñ se bharā huā
mirī ārzūoñ kī titliyāñ ye masal ke kaun chalā gayā
mirī jannateñ kahāñ gum huiiñ mire ḳhvāb-zāroñ kā kyā huā
vahī rang-o-nūr kī bārisheñ vahī phuul haiñ vahī ḳhushbueñ
mire ham-safīr kahāñ ga.e mire ham-jalīsoñ kā kyā huā
kahīñ gum na ho ye rusūm meñ kahīñ kho na jaa.e hujūm meñ
ye mirī jabīn-e-niyāz par jo hai ek sajda sajā huā
tirī qurbateñ tirī chāhatīñ sabhī nafratoñ meñ badal ga.iiñ
maiñ to ibtidā se thī bevafā vo tirī vafāoñ kā kyā huā
mujhe gudgudātā hai aaj bhī tire ġhaur-o-fikr kā silsila
vo sharīr āñkheñ jhukī jhukī vo qalam laboñ meñ dabā huā
koī raushnī kī ramaq nahīñ na koī dhueñ kā nishān hai
ye diyā bhī 'sumbul' 'ajīb hai na jalā huā na bujhā huā
meri zindagi ki kitab ka hai har ek waraq yun saja hua
kahin aansuon se likha hua kahin shoKHiyon se bhara hua
meri aarzuon ki titliyan ye masal ke kaun chala gaya
meri jannaten kahan gum huin mere KHwab-zaron ka kya hua
wahi rang-o-nur ki barishen wahi phul hain wahi KHushbuen
mere ham-safir kahan gae mere ham-jalison ka kya hua
kahin gum na ho ye rusum mein kahin kho na jae hujum mein
ye meri jabin-e-niyaz par jo hai ek sajda saja hua
teri qurbaten teri chahatin sabhi nafraton mein badal gain
main to ibtida se thi bewafa wo teri wafaon ka kya hua
mujhe gudgudata hai aaj bhi tere ghaur-o-fikr ka silsila
wo sharir aankhen jhuki jhuki wo qalam labon mein daba hua
koi raushni ki ramaq nahin na koi dhuen ka nishan hai
ye diya bhi 'sumbul' 'ajib hai na jala hua na bujha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.