misal-e-aina rahna koi mazaq nahin
misāl-e-ā.īna rahnā koī mazāq nahīñ
ki sach ko muñh pe hī kahnā koī mazāq nahīñ
sunā hai aañsū to ghaḌiyāl ke bhī bahte haiñ
lahū kā aañkh se bahnā koī mazāq nahīñ
abhī hai vaqt sambhālo samāj ko logo
tamām qadroñ kā Dhahnā koī mazāq nahīñ
mazāq jis meñ ki husn-e-mazāq hī na mile
mazāq aisā bhī sahnā koī mazāq nahīñ
suḳhan-varoñ ko mazāq-e-suḳhan kā paas rahe
ġhazal suḳhan kā hai gahnā koī mazāq nahīñ
chaman kā ho ke bhī ahl-e-chaman se ai 'āzam'
hamesha ta.ane hī sahnā koī mazāq nahīñ
misal-e-aina rahna koi mazaq nahin
ki sach ko munh pe hi kahna koi mazaq nahin
suna hai aansu to ghaDiyal ke bhi bahte hain
lahu ka aankh se bahna koi mazaq nahin
abhi hai waqt sambhaalo samaj ko logo
tamam qadron ka Dhahna koi mazaq nahin
mazaq jis mein ki husn-e-mazaq hi na mile
mazaq aisa bhi sahna koi mazaq nahin
suKHan-waron ko mazaq-e-suKHan ka pas rahe
ghazal suKHan ka hai gahna koi mazaq nahin
chaman ka ho ke bhi ahl-e-chaman se ai 'azam'
hamesha tane hi sahna koi mazaq nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.