Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

misl-e-ruKHsar-e-sanam rang-e-hina

Sarfraz Khan Vaqar

misl-e-ruKHsar-e-sanam rang-e-hina

Sarfraz Khan Vaqar

MORE BYSarfraz Khan Vaqar

    misl-e-ruḳhsār-e-sanam rang-e-hinā

    haath meñ turfa-sitam rang-e-hinā

    ḳhuun ke aañsū rulā.e zindagī

    surḳh mausam dard-o-ġham rang-e-hinā

    pattharoñ ke biich pis jaanā paḌe

    jab kahīñ paa.e sanam rang-e-hinā

    barf se hāthoñ meñ khiltā hai bahut

    aap ke sar qasam rang-e-hinā

    abr ke āñchal meñ māh-e-nau khulā

    hai terā lutf-o-karam rang-e-hinā

    jaan par merī sitam Dhaa.e 'vaqār'

    bhīgā mausam aañkh nam rang-e-hinā

    misl-e-ruKHsar-e-sanam rang-e-hina

    hath mein turfa-sitam rang-e-hina

    KHun ke aansu rulae zindagi

    surKH mausam dard-o-gham rang-e-hina

    pattharon ke bich pis jaana paDe

    jab kahin pae sanam rang-e-hina

    barf se hathon mein khilta hai bahut

    aap ke sar ki qasam rang-e-hina

    abr ke aanchal mein mah-e-nau khula

    hai tera lutf-o-karam rang-e-hina

    jaan par meri sitam Dhae 'waqar'

    bhiga mausam aankh nam rang-e-hina

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now