misl-e-sarmad talib-e-haq-bin agar sar-dad dad
misl-e-sarmad talib-e-haq-bin agar sar-dad dad
Qasim Ali Khan Afridi
MORE BYQasim Ali Khan Afridi
misl-e-sarmad tālib-e-haq-bīñ agar sar-dād daad
dekh le mansūr ne jī daar par ustād daad
ishq hai ai dil kaThin kuchh ḳhāna-e-ḳhāla nahīñ
rakh dilerāna qadam tā tujh ko ho imdād daad
ho nahīñ saktī hai jis kī gosh-zad fariyād daad
jis ne ābādāñ mere dil kā nagar barbād daad
rashk-e-duniyā hai kisī ne kyuuñ barā.e chand roz
zindagī apne ta.iiñ afsos yā mī.ād daad
kis se ho saktā hai jo is ne kiyā aalam ke saath
sūrat-e-ḳhākī meñ kaisā kuchh dam-e-ījād daad
ḳhurram-o-ḳhursand ik aalam hai par hairāñ huuñ maiñ
kyuuñ mujhe ḳhātir hazīñ ho.e dil-e-nāshād daad
'āfrīdī' us shikār-andāz se kyūñkar baje
daam meñ jis ke hai sab ḳhilqat azaañ sayyād daad
misl-e-sarmad talib-e-haq-bin agar sar-dad dad
dekh le mansur ne ji dar par ustad dad
ishq hai ai dil kaThin kuchh KHana-e-KHala nahin
rakh dilerana qadam ta tujh ko ho imdad dad
ho nahin sakti hai jis ki gosh-zad fariyaad dad
jis ne aabaadan mere dil ka nagar barbaad dad
rashk-e-duniya hai kisi ne kyun barae chand roz
zindagi apne tain afsos ya miad dad
kis se ho sakta hai jo is ne kiya aalam ke sath
surat-e-KHaki mein kaisa kuchh dam-e-ijad dad
KHurram-o-KHursand ek aalam hai par hairan hun main
kyun mujhe KHatir hazin hoe dil-e-nashad dad
'afridi' us shikar-andaz se kyunkar baje
dam mein jis ke hai sab KHilqat azan sayyaad dad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.