miTa diya mere saqi ne aalam-e-man-o-tu
Interesting Fact
(Bal-e-Jibril)
miTā diyā mire saaqī ne ālam-e-man-o-tū
pilā ke mujh ko mai-e-la-ilāha-illa-hū
na mai na sher na saaqī na shor-e-chañg-o-rabāb
sukūt-e-koh o lab-e-jū va lāla-e-ḳhud-rū
gadā-e-mai-kada kī shān-e-be-niyāzī dekh
pahuñch ke chashma-e-haivāñ pe toḌtā hai subū
mirā sabūcha ġhanīmat hai is zamāne meñ
ki ḳhānqāh meñ ḳhālī haiñ sūfiyoñ ke kadū
maiñ nau-niyāz huuñ mujh se hijāb hī aulā
ki dil se baḌh ke hai merī nigāh be-qābū
agarche bahr kī maujoñ meñ hai maqām is kā
safā-e-pāki-e-tīnat se hai guhar kā vuzū
jamīl-tar haiñ gul o laala faiz se is ke
nigāh-e-shā.ir-e-rañgīñ-navā meñ hai jaadū
miTa diya mere saqi ne aalam-e-man-o-tu
pila ke mujh ko mai-e-la-ilaha-illa-hu
na mai na sher na saqi na shor-e-chang-o-rabab
sukut-e-koh o lab-e-ju wa lala-e-KHud-ru
gada-e-mai-kada ki shan-e-be-niyazi dekh
pahunch ke chashma-e-haiwan pe toDta hai subu
mera sabucha ghanimat hai is zamane mein
ki KHanqah mein KHali hain sufiyon ke kadu
main nau-niyaz hun mujh se hijab hi aula
ki dil se baDh ke hai meri nigah be-qabu
agarche bahr ki maujon mein hai maqam is ka
safa-e-paki-e-tinat se hai guhar ka wuzu
jamil-tar hain gul o lala faiz se is ke
nigah-e-shair-e-rangin-nawa mein hai jadu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.