Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miTa ke anjuman-e-arzu sada di hai

Aziz Qaisi

miTa ke anjuman-e-arzu sada di hai

Aziz Qaisi

MORE BYAziz Qaisi

    Interesting Fact

    Gardbaad- Magazine

    miTā ke anjuman-e-ārzū sadā hai

    chale bhī aao ki har raushnī bujhā hai

    gar ittifāq se paayā hai qatra-e-shabnam

    samundaroñ ko mirī pyaas ne duā hai

    hujūm-e-rāh-e-ravāñ rauñd kar guzartā hai

    bisāt dil kahāñ ham ne ye bichhā hai

    diloñ ḳhuuñ karo sālim rakho garebāñ ko

    junūñ rasm zamāna huā uThā hai

    na muḌ ke dekhegī duniyā maro na ghuT ghuT ke

    ye hādsoñ pe bas chauñkne aadī hai

    kisī jaan zāmin nahīñ yahāñ koī

    amīn-e-shahr jānib se ye munādī hai

    kaho jo kahnā hai kyā pās-e-dard 'qaisī'

    ki us ne dil se vo buniyād miTā hai

    miTa ke anjuman-e-arzu sada di hai

    chale bhi aao ki har raushni bujha di hai

    gar ittifaq se paya hai qatra-e-shabnam

    samundaron ko meri pyas ne dua di hai

    hujum-e-rah-e-rawan raund kar guzarta hai

    bisat dil ki kahan hum ne ye bichha di hai

    dilon ka KHun karo salim rakho gareban ko

    junun ki rasm zamana hua uTha di hai

    na muD ke dekhegi duniya maro na ghuT ghuT ke

    ye hadson pe hi bas chaunkne ki aadi hai

    kisi ki jaan ka zamin nahin yahan koi

    amin-e-shahr ki jaanib se ye munadi hai

    kaho jo kahna hai kya pas-e-dard 'qaisi' ka

    ki us ne dil se wo buniyaad hi miTa di hai

    Source :
    • Book : Sher-o-Hikmat (Pg. 863)
    • Author : Shahryar, Mughni, Tabassum
    • Publication : Maktaba-e-Sher-O-Hikmat (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now