miTaen sabr dil se sabr ki talqin farmaen
miTā.eñ sabr dil se sabr kī talqīn farmā.eñ
sukūn-e-dil vahī chhīneñ vahī taskīn farmā.eñ
mohabbat meñ zabūñ-hālī kī vo taz.īn farmā.eñ
vo ġham deñ zabt-e-ġham kī daad deñ tahsīn farmā.eñ
majāz-e-‘ishq kī dushvāriyāñ shāyad haqīqī haiñ
vo sun sun kar du'ā.eñ varna kyuuñ āmīn farmā.eñ
sukūn-e-husn jaane iztirār-e-'ishq kyā shai hai
talavvun kyā hai us ko sāhib-e-tamkīn farmā.eñ
'zahīn' is meñ ḳhud un ke husn-e-kāmil kī ihānat hai
bhalā vo aur mere 'ishq kī tauhīn farmā.eñ
miTaen sabr dil se sabr ki talqin farmaen
sukun-e-dil wahi chhinen wahi taskin farmaen
mohabbat mein zabun-haali ki wo tazin farmaen
wo gham den zabt-e-gham ki dad den tahsin farmaen
majaz-e-‘ishq ki dushwariyan shayad haqiqi hain
wo sun sun kar du'aen warna kyun aamin farmaen
sukun-e-husn jaane iztirar-e-'ishq kya shai hai
talawwun kya hai us ko sahib-e-tamkin farmaen
'zahin' is mein KHud un ke husn-e-kaamil ki ihanat hai
bhala wo aur mere 'ishq ki tauhin farmaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.