miTata hi raha KHud ko rulata hi raha KHud ko
miTātā hī rahā ḳhud ko rulātā hī rahā ḳhud ko
jalā kar ḳhat mohabbat ke bujhātā hī rahā ḳhud ko
chalā kar phone meñ shab bhar kahīñ jagjīt kī ġhazleñ
lagā kar kash maiñ cigarette ke jalātā hī rahā ḳhud ko
huā jo qatl ḳhvāboñ kā bahā aañsū kā jo dariyā
to phir namkīn paanī meñ Dubotā hī rahā ḳhud ko
vo shā.ir thā yā dīvāna yā koī ġham kā maarā thā
akelā shaḳhs thā aisā jo gaatā hī rahā ḳhud ko
jo TuuTā dil 'musāfir' kā to karke band kamre ko
tarannum meñ ġhazal paḌh kar sunātā hī rahā ḳhud ko
miTata hi raha KHud ko rulata hi raha KHud ko
jala kar KHat mohabbat ke bujhata hi raha KHud ko
chala kar phone mein shab bhar kahin jagjit ki ghazlen
laga kar kash main cigarette ke jalata hi raha KHud ko
hua jo qatl KHwabon ka baha aansu ka jo dariya
to phir namkin pani mein Dubota hi raha KHud ko
wo shair tha ya diwana ya koi gham ka mara tha
akela shaKHs tha aisa jo gata hi raha KHud ko
jo TuTa dil 'musafir' ka to karke band kamre ko
tarannum mein ghazal paDh kar sunata hi raha KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.