miTate jate hain jo bhi nishan banate hain
miTāte jaate haiñ jo bhī nishāñ banāte haiñ
ham apne pīchhe kahāñ kārvāñ banāte haiñ
ham apne haath se apnā jahāñ banāte haiñ
sitāre gaḌhte haiñ aur kahkashāñ banāte haiñ
majāl kyā jo kisī gul ko chhū le bād-e-sumūm
ham apne tarz-e-amal se ḳhizāñ banāte haiñ
hamāre haath magar be-gharī hī lagtī hai
zamīñ banāte haiñ ham āsmāñ banāte haiñ
unheñ sambhāl ke rakhnā havā na denā tum
hamāre sher ye chiñgāriyāñ banāte haiñ
yaqīn rakkho ye manzar badalne vaalā hai
sharār uḌne se pahle dhuāñ banāte haiñ
kueñ se pyaas kā rishta koī nayā hai kyā
banāne vaale abas dāstāñ banāte haiñ
nayā banāne kī dhun meñ pata nahīñ chaltā
kahāñ bigāḌte haiñ aur kahāñ banāte haiñ
kisī buzurg kī sohbat meñ baiThte haiñ 'talab'
balā kī dhuup hai ab sā.ebāñ banāte haiñ
miTate jate hain jo bhi nishan banate hain
hum apne pichhe kahan karwan banate hain
hum apne hath se apna jahan banate hain
sitare gaDhte hain aur kahkashan banate hain
majal kya jo kisi gul ko chhu le baad-e-sumum
hum apne tarz-e-amal se KHizan banate hain
hamare hath magar be-ghari hi lagti hai
zamin banate hain hum aasman banate hain
unhen sambhaal ke rakhna hawa na dena tum
hamare sher ye chingariyan banate hain
yaqin rakkho ye manzar badalne wala hai
sharar uDne se pahle dhuan banate hain
kuen se pyas ka rishta koi naya hai kya
banane wale abas dastan banate hain
naya banane ki dhun mein pata nahin chalta
kahan bigaDte hain aur kahan banate hain
kisi buzurg ki sohbat mein baiThte hain 'talab'
bala ki dhup hai ab saeban banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.