miTe hain ishq mein aise ki kaun jaane hai
miTe haiñ 'ishq meñ aise ki kaun jaane hai
zamīñ se pūchh falak se ki ab kahāñ huuñ maiñ
charāġh ab bhī huuñ lekin bujhā huā kab se
maiñ raushnī thā kabhī ab to bas dhuāñ huuñ maiñ
mirī talāsh meñ duniyā ne kyā kamāl kiyā
ki pūchh Daalā hai shīshe se ab kahāñ huuñ maiñ
kabhī maiñ yaad meñ thā terī maiñ du'ā meñ thā
abhī maiñ saath huuñ tere magar nihāñ huuñ maiñ
agarche hai bhī tū haqdār to ġhurūr na kar
jo jhuk gayā hai zamīñ par vo āsmāñ huuñ maiñ
miTe hain 'ishq mein aise ki kaun jaane hai
zamin se puchh falak se ki ab kahan hun main
charagh ab bhi hun lekin bujha hua kab se
main raushni tha kabhi ab to bas dhuan hun main
meri talash mein duniya ne kya kamal kiya
ki puchh Dala hai shishe se ab kahan hun main
kabhi main yaad mein tha teri main du'a mein tha
abhi main sath hun tere magar nihan hun main
agarche hai bhi tu haqdar to ghurur na kar
jo jhuk gaya hai zamin par wo aasman hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.