miTe wo dil jo tere gham ko le ke chal na sake
miTe vo dil jo tire ġham ko le ke chal na sake
vahī charāġh bujhā.e ga.e jo jal na sake
ham is liye na.ī duniyā ke saath chal na sake
ki jaise rang ye badlī hai ham badal na sake
maiñ un charāġhoñ kī umr-e-vafā ko rotā huuñ
jo ek shab bhī mire dil ke saath jal na sake
maiñ vo musāfir-e-ġhamgīñ huuñ jis ke saath 'vasīm'
ḳhizāñ ke daur bhī kuchh duur chal ke chal na sake
miTe wo dil jo tere gham ko le ke chal na sake
wahi charagh bujhae gae jo jal na sake
hum is liye nai duniya ke sath chal na sake
ki jaise rang ye badli hai hum badal na sake
main un charaghon ki umr-e-wafa ko rota hun
jo ek shab bhi mere dil ke sath jal na sake
main wo musafir-e-ghamgin hun jis ke sath 'wasim'
KHizan ke daur bhi kuchh dur chal ke chal na sake
- Book : Mera Kiya (Pg. 150)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.