miThas baaton mein tum apni ghol kar dekho
miThās bātoñ meñ tum apnī ghol kar dekho
kisī se pyaar ke do lafz bol kar dekho
milegī taaza havāoñ kī ḳhush-gavār mahak
darīche apne makānoñ ke khol kar dekho
ho guftugū kā irāda to ye zarūrī hai
tum apnī bātoñ ko pahle hī tol kar dekho
jo karnā chāho bayāñ dūsroñ kā aib kabhī
to apne dil ko zarā sā TaTol kar dekho
hazāroñ uljhaneñ sahnā paḌeñgī tum ko 'sa.īd'
kisī se dushmanī ik baar mol kar dekho
miThas baaton mein tum apni ghol kar dekho
kisi se pyar ke do lafz bol kar dekho
milegi taza hawaon ki KHush-gawar mahak
dariche apne makanon ke khol kar dekho
ho guftugu ka irada to ye zaruri hai
tum apni baaton ko pahle hi tol kar dekho
jo karna chaho bayan dusron ka aib kabhi
to apne dil ko zara sa TaTol kar dekho
hazaron uljhanen sahna paDengi tum ko 'said'
kisi se dushmani ek bar mol kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.