miTi anguThi sone ki
miTī añgūThī sone kī
aadat chhūTī sone kī
raam se mil kar rāvan ne
lanka luuTī sone kī
ḳhushbū le kar phuul khilā
qismat phūTī sone kī
aayā sapnā miTTī kā
nindiyā TuuTī sone kī
aa.e kaam musībat meñ
baat anūThī sone kī
chalo ki us par Tañg jaa.eñ
vo hai khūñTī sone kī
aksar chāñdī khātī hai
qasmeñ jhūTī sone kī
miTi anguThi sone ki
aadat chhuTi sone ki
ram se mil kar rawan ne
lanka luTi sone ki
KHushbu le kar phul khila
qismat phuTi sone ki
aaya sapna miTTi ka
nindiya TuTi sone ki
aae kaam musibat mein
baat anuThi sone ki
chalo ki us par Tang jaen
wo hai khunTi sone ki
aksar chandi khati hai
qasmen jhuTi sone ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.