miTTi ka guDDa ho jaise
miTTī kā guDDā ho jaise
lahroñ se TuuTā ho jaise
ḳhud hī ḳhud meñ kho jaatā hai
ḳhud se vo miltā ho jaise
ik gaaḌī se ḳhuun huā hai
puurā ghar kuchlā ho jaise
ġhazleñ us kī itnī pyārī
mere liye likhtā ho jaise
merī sāñsoñ se zinda hai
mujh pe vo martā ho jaise
miTTi ka guDDa ho jaise
lahron se TuTa ho jaise
KHud hi KHud mein kho jata hai
KHud se wo milta ho jaise
ek gaDi se KHun hua hai
pura ghar kuchla ho jaise
ghazlen us ki itni pyari
mere liye likhta ho jaise
meri sanson se zinda hai
mujh pe wo marta ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.