miTTi ke lutf-o-kaif-o-asar se nikalte hum
miTTī ke lutf-o-kaif-o-asar se nikalte ham
mausam thā abr-o-bād kā ghar se nikalte ham
phir muntaqil huī hai badan se lahū kī aag
is sehr-gāh-samt-o-safar se nikalte ham
nām-o-nasab kī dhuñd meñ kho.e hue haiñ sab
mahmez karte aur bhañvar se nikalte ham
tere baġhair sub.h-o-masā kā havāla kyā
is kār-gāh shām-o-sahar se nikalte ham
tū muntaḳhab hai tujh se hai ye rañg-o-bū tamām
haañ muntashir haiñ aib-o-hunar se nikalte ham
kaisā ḳhalā hai sīnā-e-insāñ meñ ḳhema-zan
is māvarā-e-naqd-o-nazar se nikalte ham
jaulāñgah-e-nashāt bhī thī ġham bhī the 'ḳhumār'
dīvār-o-dar se shāḳh-o-shajar se nikalte ham
miTTi ke lutf-o-kaif-o-asar se nikalte hum
mausam tha abr-o-baad ka ghar se nikalte hum
phir muntaqil hui hai badan se lahu ki aag
is sehr-gah-samt-o-safar se nikalte hum
nam-o-nasab ki dhund mein khoe hue hain sab
mahmez karte aur bhanwar se nikalte hum
tere baghair subh-o-masa ka hawala kya
is kar-gah sham-o-sahar se nikalte hum
tu muntaKHab hai tujh se hai ye rang-o-bu tamam
han muntashir hain aib-o-hunar se nikalte hum
kaisa KHala hai sina-e-insan mein KHema-zan
is mawara-e-naqd-o-nazar se nikalte hum
jaulangah-e-nashat bhi thi gham bhi the 'KHumar'
diwar-o-dar se shaKH-o-shajar se nikalte hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.