miTTi thi KHafa mauj uTha le gai hum ko
miTTī thī ḳhafā mauj uThā le ga.ī ham ko
girdāb meñ sāhil kī balā le ga.ī ham ko
ham kab se lapakte hue sholoñ meñ khaḌe haiñ
is aag meñ ik gul kī havā le ga.ī ham ko
ik sarv kī ḳhush-qāmatī āñkhoñ meñ basī thī
jo zillat-e-duniyā se bachā le ga.ī ham ko
saa.e ke ta.āqub meñ gañvā.ī hai magar umr
har samt vahī ek sadā le ga.ī ham ko
tū jān-e-mohabbat hai magar terī taraf bhī
ik ḳhvāhish-e-tash.hīr-e-vafā le ga.ī ham ko
miTTi thi KHafa mauj uTha le gai hum ko
girdab mein sahil ki bala le gai hum ko
hum kab se lapakte hue sholon mein khaDe hain
is aag mein ek gul ki hawa le gai hum ko
ek sarw ki KHush-qamati aankhon mein basi thi
jo zillat-e-duniya se bacha le gai hum ko
sae ke taaqub mein ganwai hai magar umr
har samt wahi ek sada le gai hum ko
tu jaan-e-mohabbat hai magar teri taraf bhi
ek KHwahish-e-tashhir-e-wafa le gai hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.