miyan chashm-e-jadu pe itna ghamanD
miyāñ chashm-e-jādū pe itnā ghamanD
ḳhat-o-ḳhāl o gesū pe itnā ghamanD
ajī sar uThā kar idhar dekhnā
isī chashm o abrū pe itnā ghamanD
nasīm-e-gul is zulf meñ ho to aa
na kar apnī ḳhushbū pe itnā ghamanD
shab-e-mah meñ kahtā hai vo maah se
rakābī se is rū pe itnā ghamanD
bas ai sham.a kar fikr apnī zarā
inhī chaar aañsū pe itnā ghamanD
akaḌtā hai kyā dekh dekh aa.ina
hasīñ garche hai tū pa itnā ghamanD
vo kar panjā 'inshā' se bole ki vaah
isī zor-e-bāzū pe itnā ghamanD
miyan chashm-e-jadu pe itna ghamanD
KHat-o-KHal o gesu pe itna ghamanD
aji sar uTha kar idhar dekhna
isi chashm o abru pe itna ghamanD
nasim-e-gul is zulf mein ho to aa
na kar apni KHushbu pe itna ghamanD
shab-e-mah mein kahta hai wo mah se
rakabi se is ru pe itna ghamanD
bas ai shama kar fikr apni zara
inhi chaar aansu pe itna ghamanD
akaDta hai kya dekh dekh aaina
hasin garche hai tu pa itna ghamanD
wo kar panja 'insha' se bole ki wah
isi zor-e-bazu pe itna ghamanD
- Book : Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal (Pg. 92)
- Author : Khvaja Mohammad Zakriya
- Publication : Sangat Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.