miyan-e-kar-e-fan lafzon ki qismat jag uThti hai
miyān-e-kār-e-fan lafzoñ kī qismat jaag uThtī hai
ġhazal taḳhlīq kartā huuñ mohabbat jaag uThtī hai
bahut masrūr rahtā huuñ bahut chehra sajātā huuñ
magar ā.īne meñ ik aur sūrat jaag uThtī hai
maiñ kitnī baar duniyā taj ke jā baiThā huuñ goshe meñ
magar har baar duniyā kī zarūrat jaag uThtī hai
ajab dekhā karishma lafz kī bāzīgarī kā bhī
suḳhan ma.adūm ho jaatā hai shohrat jaag uThtī hai
mohabbat is tarah to munqalib hote na dekhī thī
zarā be-e'tibārī ho to nafrat jaag uThtī hai
miyan-e-kar-e-fan lafzon ki qismat jag uThti hai
ghazal taKHliq karta hun mohabbat jag uThti hai
bahut masrur rahta hun bahut chehra sajata hun
magar aaine mein ek aur surat jag uThti hai
main kitni bar duniya taj ke ja baiTha hun goshe mein
magar har bar duniya ki zarurat jag uThti hai
ajab dekha karishma lafz ki bazigari ka bhi
suKHan madum ho jata hai shohrat jag uThti hai
mohabbat is tarah to munqalib hote na dekhi thi
zara be-e'tibari ho to nafrat jag uThti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.