miyan-e-sharr-o-sar-e-KHair baukhalaya hua
miyān-e-sharr-o-sar-e-ḳhair baukhalāyā huā
shikār-e-kashmakash-e-'aql Dagmagāyā huā
varā-e-tūr kisī haul-nāk ghāTī meñ
tamām ḳhāna-ba-doshoñ se ḳhaar khāyā huā
dar-e-shafaq pe nasīb aazmā ke dekhegā
ye shab-gazīda gahe sub.h ka satāyā huā
ye surḳh surḳh to bas pesh-ḳhema-e-kun hai
siyah libās meñ uTThegā ḳhuuñ bahāyā huā
dil-e-ġharīb tavahhush se jaa.e to kis jā
hai saarā dasht-o-bayābān āzmāyā huā
bayā bayā ki darīñ-hālat-e-'ajab hāzir
junūn-e-'ishq masāfat meñ hosh uḌāyā huā
miyan-e-sharr-o-sar-e-KHair baukhalaya hua
shikar-e-kashmakash-e-'aql Dagmagaya hua
wara-e-tur kisi haul-nak ghaTi mein
tamam KHana-ba-doshon se KHar khaya hua
dar-e-shafaq pe nasib aazma ke dekhega
ye shab-gazida gahe subh ka sataya hua
ye surKH surKH to bas pesh-KHema-e-kun hai
siyah libas mein uTThega KHun bahaya hua
dil-e-gharib tawahhush se jae to kis ja
hai sara dasht-o-bayaban aazmaya hua
baya baya ki darin-haalat-e-'ajab hazir
junun-e-'ishq masafat mein hosh uDaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.