miyan sabr-azmai ho chuki bas
miyāñ sabr-āzmā.ī ho chukī bas
milo ab bevafā.ī ho chukī bas
bahār-e-ḳhud-numā.ī ho chukī bas
jahāñ chhūTī havā.ī ho chukī bas
yahī hai us kī gar begāna-vaza.ī
to ham se āshnā.ī ho chukī bas
bharosā kyā hamārā ashk kī buuñd
jahāñ mizhgāñ par aa.ī ho chukī bas
phañse sayyād ke phande meñ be-tarah
hamārī ab rihā.ī ho chukī bas
na mil hajjām-e-ruḳhsār us ke har-dam
muñDāyā ḳhat safā.ī ho chukī bas
adā meñ vaañ adā niklīñ haiñ lākhoñ
maiñ samjhā be-adā.ī ho chukī bas
dilā mat dīda-e-ḳhūñ-bār ko poñchh
har ik uñglī hinā.ī ho chukī bas
yahī darbāñ pe hai qadġhan to yaaro
sabā kī vaañ rasā.ī ho chukī bas
ġhazal ai 'mus.hafī' ye 'mīr' kī hai
tumhārī mīrzā.ī ho chukī bas
miyan sabr-azmai ho chuki bas
milo ab bewafai ho chuki bas
bahaar-e-KHud-numai ho chuki bas
jahan chhuTi hawai ho chuki bas
yahi hai us ki gar begana-wazai
to hum se aashnai ho chuki bas
bharosa kya hamara ashk ki bund
jahan mizhgan par aai ho chuki bas
phanse sayyaad ke phande mein be-tarah
hamari ab rihai ho chuki bas
na mil hajjam-e-ruKHsar us ke har-dam
munDaya KHat safai ho chuki bas
ada mein wan ada niklin hain lakhon
main samjha be-adai ho chuki bas
dila mat dida-e-KHun-bar ko ponchh
har ek ungli hinai ho chuki bas
yahi darban pe hai qadghan to yaro
saba ki wan rasai ho chuki bas
ghazal ai 'mushafi' ye 'mir' ki hai
tumhaari mirzai ho chuki bas
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(shashum) (Pg. 168)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.