mizaj-e-jahan ke mutabiq nahin main
mizāj-e-jahāñ ke mutābiq nahīñ maiñ
burā to huuñ lekin munāfiq nahīñ maiñ
maiñ huuñ tīrgī khoj le raushnī tū
bujhā sā huuñ ik diip shāriq nahīñ maiñ
yahāñ log saare hī qaidī anā ke
kisī taur un ke muāfiq nahīñ maiñ
koī to ye paiġhām de āfatoñ ko
zarā dil-lagī sī thī āshiq nahīñ maiñ
haiñ zinda mire paale dushman 'mudassir'
ḳhudāyā hai sad-shukr rāziq nahīñ maiñ
mizaj-e-jahan ke mutabiq nahin main
bura to hun lekin munafiq nahin main
main hun tirgi khoj le raushni tu
bujha sa hun ek dip shaariq nahin main
yahan log sare hi qaidi ana ke
kisi taur un ke muafiq nahin main
koi to ye paigham de aafaton ko
zara dil-lagi si thi aashiq nahin main
hain zinda mere pale dushman 'mudassir'
KHudaya hai sad-shukr raaziq nahin main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.