mizaj humse ziyaada juda na tha us ka
mizāj ham se ziyāda judā na thā us kā
jab apne taur yahī the to kyā gila us kā
vo apne zo.am meñ thā be-ḳhabar rahā mujh se
use gumāñ bhī nahīñ maiñ nahīñ rahā us kā
vo barq-rau thā magar vo gayā kahāñ jaane
ab intizār kareñge shikasta-pā us kā
chalo ye sail-e-balā-ḳhez hī bane apnā
safīna us kā ḳhudā us kā nāḳhudā us kā
ye ahl-e-dard bhī kis kī duhā.ī dete haiñ
vo chup bhī ho to zamāna hai ham-navā us kā
hamīñ ne tark-e-ta.alluq meñ pahl kī ki 'farāz'
vo chāhtā thā magar hausla na thā us kā
mizaj hum se ziyaada juda na tha us ka
jab apne taur yahi the to kya gila us ka
wo apne zoam mein tha be-KHabar raha mujh se
use guman bhi nahin main nahin raha us ka
wo barq-rau tha magar wo gaya kahan jaane
ab intizar karenge shikasta-pa us ka
chalo ye sail-e-bala-KHez hi bane apna
safina us ka KHuda us ka naKHuda us ka
ye ahl-e-dard bhi kis ki duhai dete hain
wo chup bhi ho to zamana hai ham-nawa us ka
hamin ne tark-e-talluq mein pahl ki ki 'faraaz'
wo chahta tha magar hausla na tha us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.