motaqid is bar shayad surKH-ru hone ko hai
mo'taqid is baar shāyad surḳh-rū hone ko hai
dost thā jo ab talak vo bhī 'adū hone ko hai
dar khule jaate haiñ gum-gashta makīnoñ kī taraf
har kisī ko apnī apnī justujū hone ko hai
parbatoñ kī shakl meñ tabdīl hotā hai dhuāñ
kyā koī aaseb mere rū-ba-rū hone ko hai
surḳhiyoñ meñ Dhaltī jaatī hai siyāhī dam-ba-dam
rafta rafta saarā hī paanī lahū hone ko hai
vahm kī tā.īd kartī hai havāoñ kī namī
pyaas ke māroñ pe zāhir aabjū hone ko hai
sa'i-e-lā-hāsil se bhī hāsil huā hai vo mujhe
jis kī sab zinda-diloñ ko aarzū hone ko hai
ik zamāne baa'd 'rāhat' hosh meñ aayā huuñ maiñ
ik zamāne baa'd ḳhud se guftugū hone ko hai
mo'taqid is bar shayad surKH-ru hone ko hai
dost tha jo ab talak wo bhi 'adu hone ko hai
dar khule jate hain gum-gashta makinon ki taraf
har kisi ko apni apni justuju hone ko hai
parbaton ki shakl mein tabdil hota hai dhuan
kya koi aaseb mere ru-ba-ru hone ko hai
surKHiyon mein Dhalti jati hai siyahi dam-ba-dam
rafta rafta sara hi pani lahu hone ko hai
wahm ki taid karti hai hawaon ki nami
pyas ke maron pe zahir aabju hone ko hai
sa'i-e-la-hasil se bhi hasil hua hai wo mujhe
jis ki sab zinda-dilon ko aarzu hone ko hai
ek zamane ba'd 'rahat' hosh mein aaya hun main
ek zamane ba'd KHud se guftugu hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.