moajiza maniye ya kahiye karishma dil ka
mo.ajiza māniye yā kahiye karishma dil kā
dil ke qālīn pe rakkhā hai janāza dil kā
kījiye ishq magar yād-dahānī meñ rahe
koī dil kā na huā aur na hogā dil kā
apne kānoñ meñ pahan le mere dil kī dhaḌkan
maiñ tire vāste laayā huuñ le jhumkā dil kā
zindagī naam ke panDit ne jise khīñchā thā
miT gayā ek hī daure meñ vo qashqa dil kā
chārāgar ham pe jarāhat kā fusūñ ḳharch na kar
na huā hai na kabhī hogā mudāvā dil kā
ḳhuun meñ bhīge hue phuul duā deñge tujhe
apne juuḌe meñ sajā le kabhī gajrā dil kā
na kisī giit se raġhbat na shaġhaf naġhmoñ se
sirf miirā ke bhajan suntā hai kānhā dil kā
chain umiid sukūñ dard tavaqqo dhaḌkan
bik gayā hijr ke bāzār meñ kyā kyā dil kā
terī tasvīr muzayyan hai ka.ī barsoñ se
tū ne dekhā nahīñ shāyad kabhī baTvā dil kā
moajiza maniye ya kahiye karishma dil ka
dil ke qalin pe rakkha hai janaza dil ka
kijiye ishq magar yaad-dahani mein rahe
koi dil ka na hua aur na hoga dil ka
apne kanon mein pahan le mere dil ki dhaDkan
main tere waste laya hun le jhumka dil ka
zindagi nam ke panDit ne jise khincha tha
miT gaya ek hi daure mein wo qashqa dil ka
chaaragar hum pe jarahat ka fusun KHarch na kar
na hua hai na kabhi hoga mudawa dil ka
KHun mein bhige hue phul dua denge tujhe
apne juDe mein saja le kabhi gajra dil ka
na kisi git se raghbat na shaghaf naghmon se
sirf mera ke bhajan sunta hai kanha dil ka
chain umid sukun dard tawaqqo dhaDkan
bik gaya hijr ke bazar mein kya kya dil ka
teri taswir muzayyan hai kai barson se
tu ne dekha nahin shayad kabhi baTwa dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.