moajiza wo jo masiha ka dikhate jate
mo.ajiza vo jo masīhā kā dikhāte jaate
kah ke qum qabr se murde ko jilāte jaate
marte dam bāġh-e-madīna kā nazārā karte
dekh lete chaman-e-ḳhuld ko jaate jaate
dekh kar nūr-e-tajallī ko tire dīvāne
dhajjiyāñ dāman-e-mahshar kī uḌāte jaate
ban ke parvāna mirī ruuh nikaltī tan se
lau jo is sham.a-e-tajallī se lagāte jaate
ik nazar dekhte hī rū-e-mohammad kī ziyā
ġhash pe ġhash hazrat-e-yūsuf ko haiñ aate jaate
hai vo sahrā-e-junūñ aap ke dīvānoñ kā
hazrat-e-ḳhizr jahāñ Thokareñ khāte jaate
aisā mahbūb huā kaun ki ummat ke liye
rūThte aap to allāh manāte jaate
tuur pe hazrat-e-mūsā na kabhī jal-bujhte
aap āñkhoñ meñ jo surma na lagāte jaate
saf-e-mehshar meñ ilāhī ba-huzūr-e-sarvar
na.at paḌh paḌh ke ye shohrat kī manāte jaate
moajiza wo jo masiha ka dikhate jate
kah ke qum qabr se murde ko jilate jate
marte dam bagh-e-madina ka nazara karte
dekh lete chaman-e-KHuld ko jate jate
dekh kar nur-e-tajalli ko tere diwane
dhajjiyan daman-e-mahshar ki uDate jate
ban ke parwana meri ruh nikalti tan se
lau jo is shama-e-tajalli se lagate jate
ek nazar dekhte hi ru-e-mohammad ki ziya
ghash pe ghash hazrat-e-yusuf ko hain aate jate
hai wo sahra-e-junun aap ke diwanon ka
hazrat-e-KHizr jahan Thokaren khate jate
aisa mahbub hua kaun ki ummat ke liye
ruThte aap to allah manate jate
tur pe hazrat-e-musa na kabhi jal-bujhte
aap aankhon mein jo surma na lagate jate
saf-e-mehshar mein ilahi ba-huzur-e-sarwar
nat paDh paDh ke ye shohrat ki manate jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.