moD mahaaran aa ghar sain
moḌ mahārāñ aa ghar sā.īñ
suunā paḌā hai bistar sā.īñ
maiñ huuñ tujh bin ism barahna
tū mire tan kī chādar sā.īñ
phuul mirī chhātī se uThā le
bojh baḌā hai dil par sā.īñ
ḳhālī hai dhartī kā bartan
būñdeñ haiñ chhatrī bhar sā.īñ
do hāthoñ ke pyāle meñ hai
sahrā aur samundar sā.īñ
chiḌiyāñ bārish meñ baiThī haiñ
tū hujre ke andar sā.īñ
jis ko tire lab chuum rahe haiñ
sho.ala hai yā patthar sā.īñ
paḌā huuñ din ke darvāze par
oḌhe raat kī chādar sā.īñ
moD mahaaran aa ghar sain
suna paDa hai bistar sain
main hun tujh bin ism barahna
tu mere tan ki chadar sain
phul meri chhati se uTha le
bojh baDa hai dil par sain
KHali hai dharti ka bartan
bunden hain chhatri bhar sain
do hathon ke pyale mein hai
sahra aur samundar sain
chiDiyan barish mein baiThi hain
tu hujre ke andar sain
jis ko tere lab chum rahe hain
shoala hai ya patthar sain
paDa hun din ke darwaze par
oDhe raat ki chadar sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.