Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat aur mohabbat ka shajar baqi rahega

Ashfaq Husain

mohabbat aur mohabbat ka shajar baqi rahega

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

    mohabbat aur mohabbat shajar baaqī rahegā

    chale jā.eñge ham lekin safar baaqī rahegā

    kisī dastak kānoñ meñ sadā aatī rahegī

    koī naqsh-e-qadam dahlīz par baaqī rahegā

    abhī se kyuuñ bujhā deñ apne dil saarī sham.eñ

    sahar hone tak imkān-e-sahar baaqī rahegā

    baḌhā aatā hai sail-e-be-yaqīnī har taraf se

    to is sailāb meñ kyā merā ghar baaqī rahegā

    giregā ek din sar par ye niilā āsmāñ bhī

    duāoñ meñ bhalā kab tak asar baaqī rahegā

    jo tum chāho to is bartan ko chaknā-chūr kar do

    magar phir bhī nishān-e-kūza-gar baaqī rahegā

    abhī ye faisla mahfūz hai lauh-e-ufuq par

    kaTegī kis gardan kis sar baaqī rahegā

    jise be-maslahat be-ḳhauf ho kar maiñ ne likkhā

    vahī bas ek harf-e-mo'tabar baaqī rahegā

    milā hai TuuT kar jo muddatoñ ke ba.ad 'ashfāq'

    usī se phir bichhaḌ jaane Dar baaqī rahegā

    mohabbat aur mohabbat ka shajar baqi rahega

    chale jaenge hum lekin safar baqi rahega

    kisi dastak ki kanon mein sada aati rahegi

    koi naqsh-e-qadam dahliz par baqi rahega

    abhi se kyun bujha den apne dil ki sari shamen

    sahar hone tak imkan-e-sahar baqi rahega

    baDha aata hai sail-e-be-yaqini har taraf se

    to is sailab mein kya mera ghar baqi rahega

    girega ek din sar par ye nila aasman bhi

    duaon mein bhala kab tak asar baqi rahega

    jo tum chaho to is bartan ko chakna-chur kar do

    magar phir bhi nishan-e-kuza-gar baqi rahega

    abhi ye faisla mahfuz hai lauh-e-ufuq par

    kaTegi kis ki gardan kis ka sar baqi rahega

    jise be-maslahat be-KHauf ho kar main ne likkha

    wahi bas ek harf-e-mo'tabar baqi rahega

    mila hai TuT kar jo muddaton ke baad 'ashfaq'

    usi se phir bichhaD jaane ka Dar baqi rahega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now