mohabbat bahr-e-atish hai na utra jae hai mujhse
mohabbat bahr-e-ātish hai na utrā jaa.e hai mujh se
magar dariyā meñ rah kar bhī na tarsā jaa.e hai mujh se
tabī.at hī kahāñ maane hai be tum se mile hamdam
ye vaqt-e-lutf tanhā kab guzārā jaa.e hai mujh se
ta.alluq bhī ajab rishta hai do dil jis se milte haiñ
na joḌā jaa.e hai us se na toḌā jaa.e hai mujh se
maiñ hilte dekhtā huuñ yuuñ to donoñ lab kabhī us ke
magar āhista aisā kuchh na samjhā jaa.e hai mujh se
itaab us āfat-e-jāñ kā sitam us fitna-paikar kā
agar hai dīdanī phir kyoñ na dekhā jaa.e hai mujh se
za.īfī aa ga.ī aisī ki māhir kyā kahūñ tum se
agar baiThā kabhī to phir na uTThā jaa.e hai mujh se
mohabbat bahr-e-atish hai na utra jae hai mujh se
magar dariya mein rah kar bhi na tarsa jae hai mujh se
tabiat hi kahan mane hai be tum se mile hamdam
ye waqt-e-lutf tanha kab guzara jae hai mujh se
talluq bhi ajab rishta hai do dil jis se milte hain
na joDa jae hai us se na toDa jae hai mujh se
main hilte dekhta hun yun to donon lab kabhi us ke
magar aahista aisa kuchh na samjha jae hai mujh se
itab us aafat-e-jaan ka sitam us fitna-paikar ka
agar hai didani phir kyon na dekha jae hai mujh se
zaifi aa gai aisi ki mahir kya kahun tum se
agar baiTha kabhi to phir na uTTha jae hai mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.