mohabbat bhi hua karti hai dil bhi dil se milta hai
mohabbat bhī huā kartī hai dil bhī dil se miltā hai
magar phir aadmī ko aadmī mushkil se miltā hai
mohabbat jab maza detī hai dil jab dil se miltā hai
magar mushkil yahī hai dil se dil mushkil se miltā hai
sivā.e yaas kyā is sa.ī-e-be-hāsil se miltā hai
tirā dil o sitamgar kab kisī ke dil se miltā hai
ajab riqqat-fazā hai āḳhirī milne kā nazzāra
gale lag lag ke bismil ḳhanjar-e-qātil se miltā hai
sarā-e-dahr meñ tāñtā bañdhā hai kārvānoñ kā
adam kā ai 'vafā' rasta isī manzil se miltā hai
mohabbat bhi hua karti hai dil bhi dil se milta hai
magar phir aadmi ko aadmi mushkil se milta hai
mohabbat jab maza deti hai dil jab dil se milta hai
magar mushkil yahi hai dil se dil mushkil se milta hai
siwae yas kya is sai-e-be-hasil se milta hai
tera dil o sitamgar kab kisi ke dil se milta hai
ajab riqqat-faza hai aaKHiri milne ka nazzara
gale lag lag ke bismil KHanjar-e-qatil se milta hai
sara-e-dahr mein tanta bandha hai karwanon ka
adam ka ai 'wafa' rasta isi manzil se milta hai
- Book : Sang-e-meel (Pg. 100)
- Author : mela Ram ‘vfaa’
- Publication : Darpan Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.