mohabbat ghair se ki hai to mera muddaa le lo
mohabbat ġhair se kī hai to merā mudda.ā le lo
mire dil pe guzartī kyā hai is kā bhī mazā le lo
jo kahtā huuñ jafā.eñ chhoḌ do ahd-e-vafā le lo
to kahte haiñ ḳhudā se tum muqaddar dūsrā le lo
jo pūchhā chhoḌ duuñ ulfat to bole is se kyā hogā
jo pūchhā apnā dil le luuñ to jhuñjhlā kar kahā le lo
janāb-e-ḳhizr rāh-e-ishq meñ laḌne se kyā hāsil
maiñ apnā rāsta le luuñ tum apnā rāsta le lo
shab-e-furqat jo dard-e-dil se 'muztar' dam ulajhtā hai
qazā kahtī hai ghabrāo nahīñ mujh se davā le lo
mohabbat ghair se ki hai to mera muddaa le lo
mere dil pe guzarti kya hai is ka bhi maza le lo
jo kahta hun jafaen chhoD do ahd-e-wafa le lo
to kahte hain KHuda se tum muqaddar dusra le lo
jo puchha chhoD dun ulfat to bole is se kya hoga
jo puchha apna dil le lun to jhunjhla kar kaha le lo
janab-e-KHizr rah-e-ishq mein laDne se kya hasil
main apna rasta le lun tum apna rasta le lo
shab-e-furqat jo dard-e-dil se 'muztar' dam ulajhta hai
qaza kahti hai ghabrao nahin mujh se dawa le lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.