Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ghazal hai ibaadat ghazal hai

Mohan Singh Deewana

mohabbat ghazal hai ibaadat ghazal hai

Mohan Singh Deewana

MORE BYMohan Singh Deewana

    mohabbat ġhazal hai ibādat ġhazal hai

    ġhazal ma.arifat hai sharī.at ġhazal hai

    ġhinā zīrakī aur latāfat ġhazal hai

    qasam le lo kasrat meñ vahdat ġhazal hai

    taḳhayyul tasavvur tashāboh tavāzun

    is arba.a yakjā.ī sūrat ġhazal

    har ik band har masnavī tuul qāmat

    ġhazal arz o jauhar hai qīmat ġhazal hai

    ḳhudī ko liye be-ḳhudī ko sambhāle

    itā.at ġhazal hai baġhāvat ġhazal hai

    ġhazal gardish o mehvar o dā.era hai

    ġhazal fard-e-vāhid hai millat ġhazal hai

    baham tanz o tausīf o shukr o shikāyat

    fasāhat ġhazal hai balāġhat ġhazal hai

    harīfoñ se ye qaul-e-'dīvāna' kah do

    ġhazal hai jo hasrat to hasrat ġhazal hai

    mohabbat ghazal hai ibaadat ghazal hai

    ghazal marifat hai shariat ghazal hai

    ghina ziraki aur latafat ghazal hai

    qasam le lo kasrat mein wahdat ghazal hai

    taKHayyul tasawwur tashaboh tawazun

    is arba ki yakjai surat ghazal

    har ek band har masnawi tul qamat

    ghazal arz o jauhar hai qimat ghazal hai

    KHudi ko liye be-KHudi ko sambhaale

    itaat ghazal hai baghawat ghazal hai

    ghazal gardish o mehwar o daera hai

    ghazal fard-e-wahid hai millat ghazal hai

    baham tanz o tausif o shukr o shikayat

    fasahat ghazal hai balaghat ghazal hai

    harifon se ye qaul-e-'diwana' kah do

    ghazal hai jo hasrat to hasrat ghazal hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now