mohabbat hasil-e-kaun-o-makan bhi
mohabbat hāsil-e-kaun-o-makāñ bhī
mohabbat ek sa.ī-e-rā.egāñ bhī
ajab shai hai zabān-e-be-zabāñ bhī
ḳhamoshī bhī mukammal dāstāñ bhī
sunā hai dard hai taskīn-e-jāñ bhī
laboñ par ruk ga.ī aakar fuġhāñ bhī
faroġh-e-sho.ala-e-rang-e-chaman par
taḌap kar rah ga.ī barq-e-tapāñ bhī
fareb-e-shauq hai yā ḳhud-farebī
chaman ke saath fikr-e-āshiyāñ bhī
mirī tīra-shabī par hañsne vaalo
sahar tak hai faroġh-e-kahkashāñ bhī
mujhe dekhā to ā.īna bhī dekho
ki mere saath apnā imtihāñ bhī
nifāq-e-dushmanāñ kā tazkira kyā
nazar meñ hai ḳhulūs-e-dostāñ bhī
kahāñ jaa.e tumhāre dar se 'zaidī'
ki dushman hai zamīñ bhī āsmāñ bhī
mohabbat hasil-e-kaun-o-makan bhi
mohabbat ek sai-e-raegan bhi
ajab shai hai zaban-e-be-zaban bhi
KHamoshi bhi mukammal dastan bhi
suna hai dard hai taskin-e-jaan bhi
labon par ruk gai aakar fughan bhi
farogh-e-shoala-e-rang-e-chaman par
taDap kar rah gai barq-e-tapan bhi
fareb-e-shauq hai ya KHud-farebi
chaman ke sath fikr-e-ashiyan bhi
meri tira-shabi par hansne walo
sahar tak hai farogh-e-kahkashan bhi
mujhe dekha to aaina bhi dekho
ki mere sath apna imtihan bhi
nifaq-e-dushmanan ka tazkira kya
nazar mein hai KHulus-e-dostan bhi
kahan jae tumhaare dar se 'zaidi'
ki dushman hai zamin bhi aasman bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.