mohabbat ek samundar hai zara se dil ke andar hai
mohabbat ik samundar hai zarā se dil ke andar hai
zarā se dil ke andar hai magar puurā samundar hai
mohabbat raat kī raanī kā halkā sard jhoñkā hai
mohabbat titliyoñ kā gul ko chhū lene kā manzar hai
mohabbat bāġhbāñ ke haath kī miTTī ko kahte haiñ
ruḳh-e-gul ke mutābiq ḳhaak ye sone se behtar hai
jahān-e-nau jise mahbūb kī āñkhoñ kā hāsil ho
faqīh-e-ishq ke fatve kī rū se vo sikandar hai
mohabbat jū-e-shīr-e-kun mohabbat salsabīl-e-haq
mohabbat abr-e-rahmat hai mohabbat hauz-e-kausar hai
mohabbat chāñd ke hamrāh taare ginte rahnā hai
mohabbat shabnamī āñchal mohabbat dāman-e-tar hai
koī duniyā meñ na bhī ho pahuñch meñ hai mohabbat kī
badan se māvarā.ī hai mohabbat rūh-parvar hai
mohabbat hai ramī shak par mohabbat tauf-e-mahbūbī
safā marva ne samjhāyā mohabbat hajj-e-akbar hai
agar tum lauTnā chāho safīna us ko kar lenā
agar tum Dūbnā chāho mohabbat ik samundar hai
suno 'shahzād-qais' āḳhir sabhī kuchh miTne vaalā hai
magar ik zaat jo mushk-e-mohabbat se mo.attar hai
mohabbat ek samundar hai zara se dil ke andar hai
zara se dil ke andar hai magar pura samundar hai
mohabbat raat ki rani ka halka sard jhonka hai
mohabbat titliyon ka gul ko chhu lene ka manzar hai
mohabbat baghban ke hath ki miTTi ko kahte hain
ruKH-e-gul ke mutabiq KHak ye sone se behtar hai
jahan-e-nau jise mahbub ki aankhon ka hasil ho
faqih-e-ishq ke fatwe ki ru se wo sikandar hai
mohabbat ju-e-shir-e-kun mohabbat salsabil-e-haq
mohabbat abr-e-rahmat hai mohabbat hauz-e-kausar hai
mohabbat chand ke hamrah tare ginte rahna hai
mohabbat shabnami aanchal mohabbat daman-e-tar hai
koi duniya mein na bhi ho pahunch mein hai mohabbat ki
badan se mawarai hai mohabbat ruh-parwar hai
mohabbat hai rami shak par mohabbat tauf-e-mahbubi
safa marwa ne samjhaya mohabbat hajj-e-akbar hai
agar tum lauTna chaho safina us ko kar lena
agar tum Dubna chaho mohabbat ek samundar hai
suno 'shahzad-qais' aaKHir sabhi kuchh miTne wala hai
magar ek zat jo mushk-e-mohabbat se moattar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.