mohabbat is-qadar ka faeda kya
mohabbat is-qadar kā fā.eda kyā
yuuñ hone dar-ba-dar kā fā.eda kyā
tire bin hai mire kis kaam kā ye
mire barbād ghar kā fā.eda kyā
suno dastār dāġhoñ se bharī hai
salāmat hai jo sar kā fā.eda kyā
agar ab bhī nahīñ ye kaam kā to
mere chhalnī jigar kā fā.eda kyā
ye ġhālib bhuuk thī tum pūchhte ho
kaTā.e bāl-o-par kā fā.eda kyā
mirī mahrūmiyāñ gar haiñ salāmat
tirī achchhī nazar kā fā.eda kyā
vo sunñe ke liye tayyār kab thā
vazāhat be-asar kā fā.eda kyā
basāyā hai mujhe tū ne jo dil meñ
to phir mujh se mafar kā fā.eda kyā
vafā ke naam se vāqif na ho jo
to husn-e-ḳhūb-tar kā fā.eda kyā
mayassar raushnī jis kī nahīñ hai
to phir aise qamar kā fā.eda kyā
mohabbat is-qadar ka faeda kya
yun hone dar-ba-dar ka faeda kya
tere bin hai mere kis kaam ka ye
mere barbaad ghar ka faeda kya
suno dastar daghon se bhari hai
salamat hai jo sar ka faeda kya
agar ab bhi nahin ye kaam ka to
mere chhalni jigar ka faeda kya
ye ghaalib bhuk thi tum puchhte ho
kaTae baal-o-par ka faeda kya
meri mahrumiyan gar hain salamat
teri achchhi nazar ka faeda kya
wo sunne ke liye tayyar kab tha
wazahat be-asar ka faeda kya
basaya hai mujhe tu ne jo dil mein
to phir mujh se mafar ka faeda kya
wafa ke nam se waqif na ho jo
to husn-e-KHub-tar ka faeda kya
mayassar raushni jis ki nahin hai
to phir aise qamar ka faeda kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.