mohabbat jab munafea ya KHasara soch kar karte
mohabbat jab munāfe.a yā ḳhasārā soch kar karte
to phir ham bhī tire dil meñ guzārā soch kar karte
tumheñ jab dil meñ rahnā thā mire to phir mire dil par
sitam karte karam karte ḳhudārā soch kar karte
sahāre kī zarūrat jab mujhe bhī thī tumheñ bhī thī
to behtar thā mujhe tum be-sahārā soch kar karte
agar pahle diyā hotā salīqe se javāb un ko
to ham par vaar dushman bhī dobāra soch kar karte
tumhāre paas bhī hotī yaqīnan ilm kī daulat
jo tum raddī kitāboñ se kinārā soch kar karte
masā.ib laakh mujh ko DhūñDhte lekin kahāñ paate
mirī qismat ke taare gar ishārā soch kar karte
agar pahle patā hotā yahāñ har chiiz faanī hai
tirī duniyā meñ ham jiinā gavāra soch kar karte
mohabbat jab munafea ya KHasara soch kar karte
to phir hum bhi tere dil mein guzara soch kar karte
tumhein jab dil mein rahna tha mere to phir mere dil par
sitam karte karam karte KHudara soch kar karte
sahaare ki zarurat jab mujhe bhi thi tumhein bhi thi
to behtar tha mujhe tum be-sahaara soch kar karte
agar pahle diya hota saliqe se jawab un ko
to hum par war dushman bhi dobara soch kar karte
tumhaare pas bhi hoti yaqinan ilm ki daulat
jo tum raddi kitabon se kinara soch kar karte
masaib lakh mujh ko DhunDhte lekin kahan pate
meri qismat ke tare gar ishaara soch kar karte
agar pahle pata hota yahan har chiz fani hai
teri duniya mein hum jina gawara soch kar karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.