mohabbat jazba hai ehsas hai aur sehr hai jaanan
mohabbat jazba hai ehsās hai aur sehr hai jānāñ
rag-o-pai meñ sarāyat jo kare vo zahr hai jānāñ
agar fursat mile to mere dil meñ jhāñk kar dekho
tumhārī ārzūoñ kā basā ik shahr hai jānāñ
tumhārī nīm-vā āñkhoñ meñ jaane kyā hai poshīda
ki shoḳhī hai ġhazab hai pyaar hai yā qahr hai jānāñ
kināre ab lagā de yā Dubo de us kī marzī hai
ki dil dariyā kī ik biphrī huī sī lahr hai jānāñ
zarā socho ki hālat hogī kyā 'shahzād' ke dil kī
vahī mausam gulābī hai vahī sah-pahr hai jānāñ
mohabbat jazba hai ehsas hai aur sehr hai jaanan
rag-o-pai mein sarayat jo kare wo zahr hai jaanan
agar fursat mile to mere dil mein jhank kar dekho
tumhaari aarzuon ka basa ek shahr hai jaanan
tumhaari nim-wa aankhon mein jaane kya hai poshida
ki shoKHi hai ghazab hai pyar hai ya qahr hai jaanan
kinare ab laga de ya Dubo de us ki marzi hai
ki dil dariya ki ek biphri hui si lahr hai jaanan
zara socho ki haalat hogi kya 'shahzad' ke dil ki
wahi mausam gulabi hai wahi sah-pahr hai jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.