mohabbat ka qarina aa gaya hai
mohabbat ka qarina aa gaya hai
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
mohabbat kā qarīnā aa gayā hai
hameñ mar mar ke jiinā aa gayā hai
ba-faiz-e-ġham ham ahl-e-dil ke hāthoñ
do-ālam kā ḳhazīna aa gayā hai
tirī shādābiyoñ kā zikr sun kar
guloñ ko bhī pasīna aa gayā hai
bhaḌak uThtī hai jis meñ aag dil kī
vo sāvan kā mahīna aa gayā hai
musāfir ab kahīñ to jā lageñge
talātum meñ safīna aa gayā hai
samjhe baiThe haiñ ḳhud ko riñd-e-kāmil
jinheñ do ghūñT piinā aa gayā hai
junūñ ab tak thā 'manshā' chāk-dāmāñ
ab us ko chaak siinā aa gayā hai
mohabbat ka qarina aa gaya hai
hamein mar mar ke jina aa gaya hai
ba-faiz-e-gham hum ahl-e-dil ke hathon
do-alam ka KHazina aa gaya hai
teri shadabiyon ka zikr sun kar
gulon ko bhi pasina aa gaya hai
bhaDak uThti hai jis mein aag dil ki
wo sawan ka mahina aa gaya hai
musafir ab kahin to ja lagenge
talatum mein safina aa gaya hai
samjhe baiThe hain KHud ko rind-e-kaamil
jinhen do ghunT pina aa gaya hai
junun ab tak tha 'mansha' chaak-daman
ab us ko chaak sina aa gaya hai
- Nawa-e-Dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.